100+ Shayaries By Rony Chahal In Hindi Language

20:44 Jot Chahal 0 Comments


----LATEST HINDi shayari----




Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna
                                                 Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti hai
Ek Dua Khuda Se
Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se
Utha Hua Har Hath
Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…
Dukaan Ki Tarah
Ab ho gaya hai aadmi ,
Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah,
Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein
Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!
Zindagi Ki Uljhanein
Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.
Keemat
Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se,
Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se.
Talaash na kar
Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.
Posted by Rony Chahal Under Latest Hindi Shayari Collections


Thikana kabra hai to
Thikana kabra hai to
Ibaadat kar musafir
                                                                Kehte hain khaali haath
                                                               Kisi ke ghar jaaya nahi karte
Ye arzoo nahi ki
Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum.
Na tammana hai kisi ko rulayein hum.
Par dua hai us rab se ek hi,
Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.
Khwahish aisi karo ki
Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako..!
Zindagi haseen hai
Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo,
Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko,
Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.
Mushkilon mein bhag jana
Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.
Uthati lehron ko
Uthati lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti,
Hauslon ke aage koi deewar nahi hoti,
Jalte hue ik chiraag ne aandhiyon se kaha,
Himmat hai to bujha ke dikha, jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti.
Soch ko badlo
Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.
Manzil unhi ko milti hai
Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti hai.
Lehron ko shaant dekh kar
Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.
Aankhon mein khushi
Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!!
Rishta banana aur nibhana
Rishta banana itna aasan hai
Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna
Aur rishta nibhana itna mushkil hai
Jaise PANI pe PANI se PANI likhna..
Yaad Rakhna
Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna,
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho,
Door sahi par yaad rakhna.
Fitrat Hai Hamari
Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari,
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare,
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari.
Sehmi si nigahon mein
Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge,
Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye,
Hum aapke har gham bhula denge.
Surat se pehle
Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho.
Gham mein hasne walon ko
Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Gum-e-Zindagi
Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain..!!
Yaad aaye jo tum
Yaad aaye jo tum humko abhi…
Dil mein hui hulchul tabhi…
Lafzon ko tham liya zubaan ne haye…
Kehna hai kuchh tumse….par fir kabhi..!!
Nahi Milta
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta.
Duniya ka har shauk
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.
Tajmahal Banva Diya
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya.
Kuchh sitaron ki chamak
Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.
Khairaat mein mili khushi
Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha.
Fitrat aur haalat
Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna …
Insan kabhi dil ka bura nahi hota…………….!!!!!!!!!!!!!
Yeh silsila-e-ishq
Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
Muhabbat to kayam rehti hai magar “Insan” toot jate hain!
Hamne mehboob jo badla
Hamne mehboob jo badla to taajjub kaisa,
Log kafir se musalman bhi to ho jate hain.
Yeh Sawal
Main uska hoonye raaz to woh jaan gaya hai!!
Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta.
Us Shakhs Se Talluk Hai
Us shakhs se faqat itna sa talluq hai,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati…
Teri mehfil se nikle
Teri mehfil se nikle kisi ko khabar tak na hui,
Tera mud mud ke dekhna hamein badnam kar gaya…..
Tum takalluf ko bhi
Tum takalluf ko bhi akhlas samajte ho
Dost hota nahi har haath milane wala…
Lafz ko phool banana to
Lafz ko phool banana to karishma hai faraz
Ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek.
Apni nakami ka
Apni nakami ka ek sabab ye bhi hai,
Cheez jo mangte hain sb se juda mangte hain…
Wo khud ko phool
Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain,
Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.
Khawahishon ka kafila
Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai,
Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho.
Chehre ki hasi se
Chehre ki hasi se har gam chupao,
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao.
Khud na rutho kabhi par sabko manao,
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.
Ek din sagar ne nadi se
Ek din sagar ne nadi se pucha,
Kab tak milti rahogi mujh khare jal se?
Nadi ne hans kar kaha,
Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak.
Phool Bankar
Phool bankar muskurana zindagi,
Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi.
Sabhi naghme
Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate.
Yadein hoti hain
Yadein hoti hain satane ke liye,
Koi roothta hai phir maan jane ke liye,
Rishte banana koi mushkil to nahi,
Jaan bhi chali hai nibhane ke liye.
Sabhi ko sab kuchh
Sabhi ko sab kuchh nahin milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta.
Taqdeer ke khel
Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote,
Zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote,
Hathon ki lakeeron par vishwas mat karna,
Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote.
Aashiyane ki baat
Aashiyane ki baat karate ho,
Dil jalane ki baat karate ho,
Saari duniya ke ranj-o-gam de kar,
Muskurane ki baat karate ho.
Hum ko apni khabar nahin yaaron,
Tum zamane ki baat karate ho,
Zikrr mera suna to chidh ke kaha,
Kis diwane ki baat karate ho.
Hadasaa tha guzar gaya hoga,
Kis ke jaane ki baat karate ho.
Sham suraj ko
Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalana sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
Zindagi mein kisi ko
Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,
Ki zindagi bina unke aadhori lage,
Mohhabat is kadar karo ki,
Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage.
Agar Manzil Pana Hai
Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna,
Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana,
To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana.
Ya khuda
Ya khuda meri duaon mein itna asar karde,
Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de.
Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula,
Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de.
Unki duaon ka hum par asar
Unki duaon ka hum par asar dekhiye,
Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye.
Hum to nazar aayenge har ishq mein,
Is jahan mein aap apni basar dekhiye.
Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko,
Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye.
Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera,
Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye.
Wo khafa bhi hota hai to
Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,
Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.
Kaise woh laut aaye
Kaise woh laut aaye ke fursat use nahin,
Duniya samajh rahi hai mohabbat use nahin.
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah mein,
Kafi dinon se mujh se shikayat use nahin.
Dil ki zameen us ki hai banjar isi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat use nahin.
Phoolon ki yaad aati hai
Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par,
Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par,
Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate,
Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par
Naam ki kya baat karte ho
Naam ki kya baat karte ho,
Log chehre tak bhool jate hain.
Tum samander ki baat karte ho,
Log aankhon main doob jate hain.
Gile shikwe na dil se laga lena
Gile shikwe na dil se laga lena,
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena,
Kal ka kya pata hum ho na ho,
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena.
Pattharon ko itna na pujo
Pattharon ko itna na pujo ke woh dewta ho jaye,
Kisi ko itna na chaho ke woh bewafa ho jaye.
Baadalon ke darmiyan
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki.
Har ek rooh ki
Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon,
Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava na karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon.
Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho,
Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon.
                        Posted by Rony Chahal Under Latest Hindi Shayari Collections
Yaad aane wale
Yaad aane wale yaad aaye ja rahe hain
Meri khayalon ki duniya par chhaye ja rahe hain
Hum kuch kehna chah rahe hain un se ,
Par wo chup hain bas sms padh ke muskuraye ja rahe hain.
Abhi to baaz ki
Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.
Ankhoo ki aawaz
Ankhoo ki aawaz kuch aur hoti hai,
Aansoo ki aag kuch aur hoti hai…
Kaun chahta hai bichhadna apnon se,
Par kismat ki baat kuch aur hoti hai …
Dil hona chahiye
Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye,
Ashiqui ke liye hunar hona chaihye,
Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,
Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye.
Kabhi ki hogi
Kabhi ki hogi suraj ne chaand se mohabbat…
Tabhi to chand mein daag hai….
Mumkin hai ki chand se huii hogi bewafai…
Tabhi to suraj mein aag hai
Na koi kisi se door hota hai
Na koi kisi se door hota hai,
Na koi kisi ke kareeb hota hai,
Pyar khud chal kar aata hai,
Jab koi kisi ka naseeb hota hai.
Unki jahan se nirali hai ada
Unki jahan se nirali hai ada,
Andaz unke hai yaaron sabse juda,
Khafa ho jayen to qaatil se kam nahi,
Meharbaan ho jayen to lagne lagte hain khuda.
Utray jo zindagi teri
Utray jo zindagi teri gehraiyon mein hum.
Mehfil mein reh ke bhi rahe tanhaaiyon mein hum.
Deewangi nahi to aur kya kahen?
Insaan dhundhte rahe parchhaiyon mein hum.
Kal fursat na mili to
Kal fursat na mili to kya hoga,
Itni mohlat na mili to kya hoga,
Roz kehte ho kal milenge, kal milenge,
Kal meri aakhen na khuli to kya hoga.
Sath chhutne se
Sath chhutne se rishte nahi tuta karte,
Waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte,
Log kehte hain mera sapna tut gaya,
Tutati to nind hai sapne nahi tuta karte.
Khwaish aisi karo ki
Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko bhi pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Par jiyo aise ki har pal mein zindgi pa sako..!
Kashti toofan se
Kashti toofan se nikal sakti hai,
Shama bujh ke bhi jal sakti hai,
Mayus na ho irade na badal aye dost,
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.
Bina gum khushi ka
Bina gum khushi ka pata kaise chalega,
Bina roye hansi ka maza kaise milega,
Wo jo bhi karta hai wo hi janta hai…
Agar hum jaan gaye to use khuda kaun kahega.
Is kadar na har baat
Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharon se puchho,
Leharo se khelna to samandar ka shauk hai,
Lagti hai chot kaisi kinaron se puchho.
Kashish honi chaiye
Kashish honi chaiye kisi ko yaad karne ki,
Lamhe to apne aap mil jayenge,
Waqt hone chahiye kisi ko milne ka,
Bahane to apne aap mil jayenge.
Nazren na hoti to
Nazren na hoti to nazaara na hota,
Duniya main hasino ka guzara na hota,
Hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,
Jaake khuda se kaho ke haseeno ko banaana chhod de.
Fanaa Kar Dena
Ikhtiyaar-e-Tarannum ke tabassum se roshni ko jala dena,
Mohabbat ho to nigahon se nahi hoton se bayan kar dena.
Khidmatein unki ek bar nahi sau bar kar dena,
Jab sab kuch kaam na kare aye dost,
To jaam peete hue mohabbat ko fanaa kar dena.
Geele kagaz ki tarah…
Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi.
Is kadar akele hain raahon me dil ki,
Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.
Wo baat kya karu
Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho,
Wo dua kya karu jisme asar hi na ho.
Kaise keh du aap ko lag jaaye meri umar,
Kya pata agle pal meri umar hi na ho.
Mohabbat Me
Mohabbat me hum mashoor kya huwe,
Har harkat humari deewangi lagne lagi.
Lafz jo nikle haal-e-dil ka bayan karne,
Zamane ko har wo baat shahyari lagne lagi.
Dil ka dard
Dil ka dard kisiko bataya na karo,
Aankhon me chuppe aansu bahaya na karo.
Log mutthi me namak liye ghumte hain,
Apne zakhm kisiko dikhaya na karo.
Fir na simtegi
Fir na simtegi agar dosti bikhar jayegi,
Zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi.
Jo khushi de tumhe thaam lo daaman uska,
Zindagi roke nahi has ke gujar jayegi.
Kabhi tum bhi
Kabhi tum bhi humse baat kar liya karo,
Milne milaane ki faryaad kar liya karo.
Ek hum hai jo har baar shurwaat karte hai,
Kabhi tum bhi humein humse pehle yaad kar liya karo.
Jaane kya
Jaane kya mujhse zamaana chahta hai,
Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai.
Jaane kya baat chalakti hai mere chehre se,
Har shaks mujhe aazmaana chahta hai.
Kagaz ki kashti
Kagaz ki kashti thi aur pani ka kinara tha,
Khelne ki masti thi aur dil awara tha,
Kahan aa gaye jawani ke daldal main,
Kya kahen bachpan hi kitna pyara tha,
Utra tha chaand mere aangan main,
Yeh sitaroan ko gawara na tha,
Main to sitaroan se bagawat kar leta,
Par chand bhi kaha hamara tha.
Yeh sheeshe
Yeh sheeshe yeh sapne yeh dhage,
Kise kya khabar hai kahan toot jaye.
Mohhabat ke dariya main tinke waffa ke,
Na jane yeh kiss mod par doob jaye.
Murradon ki manzil
Murradon ki manzil ke sapno main khoye,
Mohabbat ki raho pe hum chal pade they.
Zara dur chal ke jab aankh khuli to,
Kadi dhoop mein hum akele khade they.
Jab bhi dill mein koi
Jab bhi dill mein koi vichar aata hai ,
Mera dill khamosh hokar rah jata hai.
Koi sab kuch keh kar pyar jatata hai,
Aur koi kuch na keh kar bhi sabh kuch keh jata hai.
Shikayat hai unhe
Shikayat hai unhe ke hame mohabbat karna nahi aata,
Shikwa to iss dil ko bhi hai par ise shikayat karna nahi aata .
Dhoondta tha ke
Dhoondta tha ke kaun mera saath nibhayega saaye ki tarah,
Sochta hu ke kaun mere jazbaton ko samjhega yaha,
Par jab khayal aaya unka jinhone hame kabhi akela nahi chchoda,
To laga in tanhayion se aachcha saathi mujhe milega kaha!!!
Phooloan se kya dosti karte ho
Phooloan se kya dosti karte ho,
Phool to murjha jaate hain.
Aggar dosti karni hai to kaanton se karo,
Kyun ki woh chubh kar bhi yaad aatein hain.

You Might Also Like

0 comments: